XtGem Forum catalog


Romantic Shayari

Romantic Shayari

PAGE=5

Dil Ka Zakhm
By : (Views : 735)

Range Gul Mange hai, Khushbo-e-wafa mange hai
Dil ka har zakhm mehakne ki ada mange hai
Shaakh dar shaakh mehakti khushbu-e-gulaab
Kisi daman se lipatne ki dua mange hai

 

Jind Jaan
By : Gagan(Views : 826)

Hasdi Rahe Hamesha Meri Jaan
Kar Dewaan Jind Main Ohton Kurbaan
Dekh Ke Lok Khush Ohnu Ho Jande Ne Hairaan
Ki Banke Oh Rahegi Hamesha Sadi Jind Jaan

 

Hamare Jaise Nahi
By : Gagan(Views : 852)

Thaame Rakhna Haath Hamara Aise Hi
Dete Rehna Saath Zindagi Bhar Aise Hi
Yu To Milenge Zindagi Mein Chahne Wale bahut
Milenge To Bas Hamare Jaise Nahi

 

Sapne Mein
By : Gagan(Views : 690)

Milunga Sapne mein ab aap so jaiye
hamare khayalon mein kho jaiye
hamare beech ki duri mitaiye
dua karte hain bhagwan se
ki aap mere hi kayalon mein aaiye

 

Zindagi Saari
By : Gagan(Views : 713)

Karanga udeek teri
main apni zindagi saari
na dewanga dhokha us nu
jisde naal hai laali yaari

Shiddat
By : GAGAN... (Views : 3954)

badi shiddat se ghoor rahe the
khud ko aayine mein vo
bada pyaar aa raha tha unhe
chaman ke nazaron ko dekhkar
khud pe itra rahe the
khud se sharma rahe the vo
bada luft aa raha tha unhe
husn ki baharon ko dekhkar
khumaar tha aankhon mein
apni khubsoorti malang dekhkar
jism ka rang dekhkar
kabhi ye apna dang dekhkar
kabhi baal khul rahe the
kabhi baal bandh rahe the
chudiyaan badal badal
moujon ke rang badal rahe the
pehle muskuraana fhir
khul ke khilkhilaana
jaise khanak gaya ho
paimaane se koi paimaana
kabhi aage jhuk rahe the
seene mein haath rakhkar
kabhi sir jhatak rahe the
honthon pe haath rakh kar
fhir darr ke unka dekhna idhar-udhar
pakdi na jaaye kartoot ki
khud pe thi bad-nazar

 

CHAND SA CHEHRA
By : Gagan (Views : 1022)

CHAND SA CHEHRA ZULF JAISE GHATAYEIN
CHEHRE SE HATA DO, TO CHANDNI HO JAYE
HAI AANKHON ME MASTI HASEEN HAI ADAAYEIN
BADAN KI KHUSHBOO SE TERI HUM MADHOSH HO JAYE
UFF! YE TERE NAKHRE TERA SHARMANA AAYE-HAAYE
TU JO MUSHKURA DE, TO HOSH KHO JAYE
LABZON ME HAI MOHABBAT
HOTHON PE HAI NAZAKAT
HOTHON SE CHHULUN TUJHKO TO HAR ZAKHM KHO JAYE
KHUDA KI TU QAYAMAT
BAAHON ME TERI JANNAT
BAAHON ME LE LU TUJHKO TO ZINDAGI HO JAYE

 

Beetay Lamhoon Ki Yaad Aati Hai
By : Gagan (Views : 1020)

Tanhayee me jab beete lamho ki yaad aati hai
kya kahe jism se jaan chali jaati hai
yu to unki berukhi yaad hai hume par
aakhe band kare to surat unki nazar aati hai

 

Khuda Ki Marzi Ho Gi
By : Gagan (Views : 884)

Dil tuta hai hamara, khuda ki marzi hogi
Dil diya tha hamne unhe apna samaj kar
tod diya unhone ise ek sapna samaj kar
Is tute huay dil ko ab ham sambhale kahan se
ki hum to pehle hi bedakhal ho chuke hai jahan se

 

Har Tarannum Mein Mili Hai Teri Aavaaz Mujhe
By : Gagan Bhangu (Views : 855)

har tarannum mein mili hai teri aavaaz mujhe
ek hi naghma sunata hai har ek saaz mujhe
ishq ka bhi koi anjaam hua kartaa hai
ishq mein yaad hai aaghaaz hi aaghaaz mujhe
jaise viraane se takra ke palat ti hai sada
dil ke har goshe se aai teri aavaaz mujhe
jo kisi ko bhi na chahe use chahna
umr bhar apni mohabbat pe raha naaz mujhe

Mausam Ko Isharon Se Bula Kyun Nahin Lete
By : Gagan Bhangu (Views : 803)

mausam ko isharon se bula kyun nahin lete
rutha hai agar vo to mana kyun nahin lete
deewana tumhara koi ghair nahin hai
machla bhi to sine se laga kyun nahin lete
khat likh ke kabhi aur kabhi khat ko jalakar
tanhai ko rangeen bana kyuun nahin lete
tum jaag rahe ho mujhko achchha nahin lagta
chupke se meri neend chura kyun nahin lete

 

Vo Behisaab Jo Pi Ke Kal Sharab Aaya
By : Gagan (Views : 451)

vo behisaab jo pi ke kal sharab aaya
agarche mast tha main par mujhe hijaab aaya
idhar khayaal mere dil mein zulf ka guzra
udhar vo khata hua dil mein pech-o-taab aaya
khayaal kiska samaya hai dida-o-dil mein
na din ko chain mujhe aur na shab ko Khwaab aaya

 

Aa Bhi Jao Ki Zindagi Kam Hai
By : Gagan (Views : 461)

aa bhi jao ki zindagi kam hai
tum nahin ho to har khushi kam hai
vada kar ke ye kaun aaya nahin
shehar mein aaj roshni kam hai
jaane kya ho gaya hai mausam ko
dhoop zyada hai chaandni kam hai
aaina dekh kar khayaal aaya
aaj kal un ki dosti kam hai
tere dam se hi main mukammal hun
bin tere meri zindagi kam hai

 

Deewane Khat Likha Nahi Karte
By : Gagan (Views : 449)

use maine hi likha tha
ke lehje baraf ho jain to pigla nahi karttay
parinde darr ke ud jayein to phir louta nahi karte
use maine hi likha tha
yaqeen uth jaye to shayad kabhi wapis nahi aata
hawaon ka koi toofaan kabi barish nahi lata
use maine hi likha tha
ke sheesha toot jaye to kabi phir jud nahi pata
jo raste se bhatak jaye woh wapis mud nahi pata
use kehna adhura khat use maine hi likha tha
use kehna ke deewane mukkamal khat likha nahi karte

 

Dil Ki Lagi Ko Aur Vo Bhadka Rahe Hain Aaj
By : Gagan Bhangu (Views : 514)

dil ki lagi ko aur vo bhadka rahe hain aaj
khud hi khud bahaar bane jaa rahe hain aaj
jaise ke ho raha hai aftaab-e-naaz
kuchh aisi shaan se vo chale aa rahe hain aaj
thukra ke iltija ko paa-e-gurur se
armaanon kaa vo khoon kiye ja rahe hain aaj
vo pyaar ki fizayein vo rangin sohbatein
manzar vo saare shauq ke yaad aa rahe hain aaj
yaron gila karein bhi to kis baat ka karein
apne kiye ki aap saza pa rahe hain aaj

Rah-e-ashiqui Ke Maare Rah-e-aam Tak Na Pahunche
By : Gagan (Views : 385)

rah-e-ashiqui ke maare rah-e-aam tak na pahunche
kabhi subah tak na pahunche kabhi shaam tak na pahunche
mujhe mast agar bana de ye nigah-e-mast teri
mera haath kya nazar bhi kabhi jaam tak na pahunche
mujhe apni bekasi ka nahin gham khayaal ye hai
kahin baat badhte badhte tere naam tak na pahunche
jo ye daur bevafa hai tera gham to mustaqil ho
vo hayaat-e-aashiqui kya jo davaam tak na pahunche
ye anokhi barhami hai ke na bhule se labon par
basabiil-e-tazkira bhi mere naam tak na pahunche
kahin is tarah bhi ruuthe na kisi se koi yaron
ke payaam tak na aaye ke salaam tak na pahunche

 

Ya To Mit Jaiye Ya Mita Dijiye
By : Gagan (Views : 399)

Ya to mit jaiye ya mita dijiye
kijiye jab bhi sauda khara kijiye
ab jafa kijiye ya wafa kijiye
aakhari waqt hai bas dua kijiye
apne chehre se zulfen hata dijiye
aur phir chaand ka samna kijiye
har taraf phool hi phool khil jaayenge
aap aise hi hansate raha kijiye
aap ki ye hansi jaise ghungru baje
aur qayamat hai kya ye bata dijiye

 

Kuchh Na Kuchh To Zaroor Hona Hai
By : Gagan (Views : 433)

kuchh na kuchh to zaroor hona hai
samna aaj unse hona hai
todo, phenko, rakkho, karo kuchh bhi
dil hamara hai kya khilona hai
zindagi aur maut ka matlab
tum ko pana hai tum ko khona hai
itna darna bhi kya hai duniya se
jo bhi hona hai vo to hona hai
uth ke mehfil se mat chale jana
tum se roshan ye kona kona hai

 

Wo Ke Har Ahd-e-mohabbat Se Mukarta Jaye
By : Gagan Bhangu (Views : 314)

Wo ke har ahd-e-mohabbat se mukarta jaye
dil vo zaalim ke usi shakhs pe marta jaye
mere pehlu mein vo aaya bhi to khushbuu ki tarah
main use jitna sametuun vo bikharta jaye
kyon na hum usko dil-o-jaan se chaahein aye dost
vo jo ek dushman-e-jaan pyaar bhi karta jaye

 

Is Raah-e-mohabbat Mein Tu Saath Agar Hota
By : Gagan Bhangu (Views : 316)

Is raah-e-mohabbat mein tu saath agar hota
har gaam pe gul khilte khushbu ka safar hota
uthta mere pehlu se vo mehr-e-shanasai
ik roz to aisa bhi aaghaaz-e-sehar hota
ashq-e-sar-e-mizgaan ko chun leta vo palkon se
ik roz to aisa bhi dida-e-tar hota
ye tark-e-talluq ki sun lete nasihat bhi
humsa jo koi uska mehboob-e-nazar hota

Baat Chali Teri Aankhon Se Ja Pahunchi Paimane Tak
By : Gagan (Views : 532)

baat chali teri aankhon se ja pahunchi paimane tak
kheench rahi hai teri ulfat aaj mujhe maikhane tak
ishq ki baatein gham ki baatein duniyawale karte hain
kisne shama ka dukh dekha hai, kaun gaya parwane tak
ishq nahin hai tum ko mujhse sirf bahane karti ho
yunhi bahane qayam rakhna tum mere mar jane tak
itna hi kehna hai tumse mumkin ho to aa jana
aa hi gaye to rukna hoga, aankhon ke pathrane tak

 

Mujh Ko Deewana Banate Ho Ye Kya Karte Ho
By : Gagan Bhangu (Views : 453)

bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karte ho
aur phir aankh churate ho ye kya karte ho
baad mere koi mujh sa na milega tum ko
khaak mein kis ko milate ho ye kya karte ho
chinte paani ke na lo neend bhari aankhon par
sote fitne ko jagate ho ye kya karte ho
hum to dete nahin kya ye bhi zabardasti hai
chhiin kar dil liye jaate ho ye kya karte ho
ho na jaaye kahin daaman ka churana mushkil
mujh ko deewana banate ho ye kya karte ho

 

Aakar Jaane Ki Baat Karte Ho
By : Gagan (Views : 445)

Aakar ke jaane ki baat karte ho
phir dil dukhane ki baat karte ho
Phir btate ho apni majboori
phir bahaane ki batt karte ho
Ekta, ittefaq, pyaar-o-guroor
kis zamane ki baat karte ho
Dil ki duniya ujaad di pehle
ab basaane ki baat karte ho
Main mohabbat ka zikr karti hu
tum zamane ki baat karte ho

 

Kehte Hain Mujhse Ishq Ka Afsana Chahiye
By : Gagan Bhangu (Views : 672)

kehte hain mujhse ishq ka afsana chahiye
rusvai ho gai tumhein sharmana chahiye
Khuddar itni fitrat-e-rindaan na chahiye
saaqi ye khud kahe tujhe paimana chahiye
aashiq bagair husn-o-jawani fizuul hai
jab shamma jal rahi hai to parwana chahiye
aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zaroor
varna mariize hijr ko mar jana chahiye
vaada tha unka raat ko aane ka ae huzoor
ab chaand chhup gaya unhen aa jana chahiye

 

Azeez Itna Hi Rakho Ke Ji Sambhal Jaye
By : Gagan (Views : 467)

azeez itna hi rakho ke ji sambhal jaye
ab is qadar bhi na chaho ke dam nikal jaye
mile hain yuun to bahut aao ab milen yuun bhi
ke ruuh garmi-e-anfaas se pighal jaye
mohabbaton mein ajab hai dilon ko dhadka sa
ke jaane kaun kahaan raasta badal jaye
main wo chiragh-e-sar-e-rehguzar-e-duniya huun
jo apni zaat ki tanhaaiyon mein jal jaye
har ek lehja yahi arzoo yahi hasrat
jo aag dil mein hai wo sher mein bhi dhal jaye


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter